khirad yaqin ke sukun-zar ki talash mein hai ye dhup saya-e-diwar ki talash mein hai khata chaman ki ki hai mubtala-e-lala-o-gul bahaar sirf khas-o-khar ki talash mein hai chhalak raha hai qaba-e-haya se us ka shabab sharab jurat-e-mai-khwar ki talash mein hai wo nuqta hun jo bharam hai nuqush-e-hasti ka zamana kya mere asrar ki talash mein hai wo auj hun jo khalal hai nizam-e-pasti ka wo jurm hun jo sar-e-dar ki talash mein hai khas aazma hai 'muhib' shoala-zar baatil se naya khalil hai gulzar ki talash mein hai