kis tarah rakh lun sath kisi ham-safar ko main pahchanta hun khub har ek mo'atabar ko main daman mein jis ke khel rahi ho shab-e-siyah kaise karun qubul bhala is sahar ko main rota hai dil siyasat-e-ahd-e-jadid par jab dekhta hun gham se pareshan bashar ko main umr-e-daraaz 'khizr' mubarak ho aap ko apna raha hun zindagi-e-mukhtasar ko main 'rahbar' nashat-o-aish ki manzil qarib hai tai kar chuka hun gham ki har ek rahguzar ko main