khirman-e-jaan ke liye khud hi sharar ho gae hum khaksari jo badhi khak-basar ho gae hum apne hone ka yaqin aa gaya bujhte bujhte be-karan shab mein jo imkan-e-sahar ho gae hum na-muradi mein nashat-e-gham imkan tha ajab hum kabhi shad na ho pate magar ho gae hum hum nahin kuchh bhi magar marka-e-ishq ki khair jit maqsum hui us ki jidhar ho gae hum jada-e-ishq tera haq to ada kis se hua khair itna hai ki aaghaz-e-safar ho gae hum zindagi aise guzari ki subuk sar na hue yani is daur mein jine ka hunar ho gae hum tesha bhi hum the yaqin hum the to zindan kya chiz yahi hona tha so diwar mein dar ho gae hum dast-e-qudrat hamein kuchh aur hai banna so bana chhod ye zikr ki qatre se guhar ho gae hum