khushiyan mat de mujh ko dard-o-kaif ki daulat de sain mujh ko mere dil ke ek ek zakhm ki ujrat de sain meri ana ki shah-e-rag par khud meri ana ka khanjar hai mere lahu ke har qatre ko phir se hiddat de sain ism-e-zat ka raaz hai jo khud mere upar fash to kar mere dil ke aaine ko phir se hairat de sain tod de wo diwar-e-nafas jo beach mein mere hail hai mujh ko mujh se milne ki ek bar jo mohlat de sain main bhi to mitti hun wo bhi tere chaak ki mitti hun apne chaak ki mitti ko achchhi si surat de sain duniya ka ye jah-o-hasham ye mansab ye jagir hai kya daulat kaisi mujh ko mera kasa-e-usrat de sain mere is lahje ko bhi ab ek naya aahang to de mere sare alfaz-o-afkar ko nudrat de sain kar-e-jahan ke mansab se tu 'shahid' ko mazul bhi kar kaam use jo kuchh bhi de wo hasb-e-zarurat de sain