khizan chaman mein yun mastana-war guzri hai guman ye hota hai jaise bahaar guzri hai faza udas gali muzmahil chaman pamal bahaar ab ke khizan darkinar guzri hai abhi wahi kahin guzre na hon udhar ho kar shamim-bez hawa itr-bar guzri hai zahe tasawwur-e-jaanan zahe khayal-e-jamal har ek sans meri mushk-bar guzri hai tere karam se hamesha raha hai dil shadab mere chaman se hamesha bahaar guzri hai lubha sakegi mujhe kya kisi ki ranai meri nazar se tumhaari bahaar guzri hai inayat aap ki wajh-e-sukun to hai lekin main kya karun ki tabiat pe bar guzri hai guzar rahi hai 'mubarak' guzar hi jaegi wo zindagi jo bahut nagawar guzri hai