kya qayamat hai gham ki girai hansna chaha to aankh bhar aai un ki yaadon ki jalwa-arai kitni raushan hai sham-e-tanhai marhaba ai junun ki ruswai un ke honton pe bhi hansi aai kis ki aamad ki hai khabar yarab dil ki dhadkan bani hai shahnai koi jada na koi manzil hai zindagi kis maqam par aai lab pe mohar-e-sukut hai lekin mil gai hai nazar ko goyai ab 'mubarak' ki zindagi kya hai un ki yaad aur kunj-e-tanhai