KHizan-dida gulistan ka nazara kar liya maine

khizan-dida gulistan ka nazara kar liya main ne
na pa kar phul kanton hi se daman bhar liya main ne

mujhi se uth na paya bar tabligh-e-mohabbat ka
shar-o-fitna ka har ilzam apne sar liya main ne

darun-e-mai-kada dekhi ghalat-bakhshi jo saqi ki
to apne aansuon se apna saghar bhar liya main ne

khulus-e-dil se ab tanqid karna farz thahra hai
qalam kab hai qalam ab hath mein nashtar liya main ne

mujhe kya khauf hasti ki kisi bhi zahr-naki ka
ki zahr-e-hijr-e-jaanan tak gawara kar liya main ne

mere fan ne jila pai hai har tanqid jaez hai
har ek tanqid-e-jaez ko sar aankhon par liya main ne

khuda ke fazl se main mutmain hun aur shakir bhi
badi himmat se har maidan ko sar kar liya main ne

mujhe 'maghmum' ab ho mukhlisi is marne jine se
bahut kuchh ji liya main ne bahut kuchh mar liya main ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close