hamare ashk palkon par dhare hain

hamare ashk palkon par dhare hain
mohabbat mein qayamat ke maze hain

mohabbat ki rah-e-dushwar par hum
ishaara pa ke tera chal rahe hain

hamari talkh guftari pe mat ja
ki hum kadwe magar dil ke khare hain

unhen bar-khud ghalat kahna hai bar-haq
jo mulk-o-qaum ke rahbar bane hain

kiye hain jis pe hum ne lakh ehsan
usi se jaan ke lale pade hain

jinhen dekhe hue ek umr guzri
mujhe shiddat se wo yaad aa rahe hain

nazar kya aae un mein jalwa-e-haq
dilon ke zang-khurda aaine hain

faqiron ko hiqarat se na yun dekh
inhin mein kuchh bahut pahunche hue hain

mere soz-e-tarannum se yakayak
charagh-e-kushta-e-shab jal uthe hain

hamari rakh se shoale utha do
hasinon hum to jal jal kar bujhe hain

jinhen thukra rahe hain hum bahar-gam
wo zarre mahr se chhute hue hain

abhi tak waqt hum par mehrban hai
khuda ke fazl se achchhe bhale hain

ulajh kar rah gae hain wo masail
siyasat ne jo paida kar diye hain

unhen 'maghmum' kab bhuli hai duniya
mohabbat mein jo diwane hue hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close