khizan ka jo gulshan se pad jae pala to sehn-e-chaman mein na gul ho na lala liya tere aashiq ne barson sambhaala bahut kar gaya marne wala kasala pae-fateha hath uthawega koi sar-e-turbat-e-bekasan aane wala isi girya ke tar se meri aankhen bana dengi naddi baha dengi nala bitha kar tumhein shama ke pas dekha tum aankhon ki putli wo ghar ka ujala khat-e-shauq ko padh ke qasid se bole ye hai kaun diwana khat likhne wala diya hukm saqi ko pir-e-mughan ne pai-e-muhtasib jam-o-mina utha la ye sunte hi mai-khwar bole khushi se hamin sa hai ye nek allah wala haqiqat mein 'sail' ne zauq-e-adab se jahan tak uchhaala gaya nam uchhaala