jaur-e-aflak bas-ki jhele hain aise papad bahut se bele hain gah huzuri hai gah hai duri gah akele hain gah do-kele hain asp-e-tazi nazar nahin aate so khuron se bhare tawele hain kahte hain yan jise qimar-e-ishq khel aise bahut se khele hain jite hain wo qimar-e-ishq mein yar jaan par apni jo ki khele hain thahre kab jang-e-husn mein ye shaikh ek muddat ke ye bhagele hain pas apne dui ka nam nahin jab se paida hue akele hain na dikhana lahad mein aankhen nakir pas apne bhi qul ke dhele hain kufr-o-din ka ho faisla kyunkar ek muddat ke ye manjhele hain dair-o-kaba ki bhid-bhad hai kya aise dekhe bahut se mele hain giriya-e-pur-asar ki shiddat hai saf aab-e-baqa ke rele hain bheja apna khayal us but ne jab suna 'muntahi' akele hain