khizan ka rang darakhton pe aa ke baith gaya main tilmila ke utha phadphada ke baith gaya kisi ne jam uchhaala ba-nam-e-sham-e-alam koi malal ki wahshat chhupa ke baith gaya mila na jab koi mahfil mein ham-nashini ko main ek khayal ke pahlu mein ja ke baith gaya purane yar bhi aapas mein ab nahin milte na jaane kaun kahan dil laga ke baith gaya mile baghair bichhadne ko kya kaha jae bas ek khalish thi jise main nibha ke baith gaya main apne aap se aage nikalne wala tha so khud ko apni nazar se gira ke baith gaya kise khabar thi na jaegi dil ki virani main aainon mein bahut saj-saja ke baith gaya