khizan ke chand ne puchha ye jhuk ke khidki mein kabhi charagh bhi jalta hai is haweli mein ye aadmi hain ki sae hain aadamiyyat ke guzar hua hai mera kis ujad basti mein jhuki chatan phisalti giraft jhulta jism main ab gira hi gira tang-o-tar ghati mein zamane bhar se nirali hai aap ki mantiq nadi ko par kiya kis ne ulti kashti mein jalae kyun agar itne hi qimti the khutut kuredte ho abas rakh ab angethi mein ajab nahin jo ugen yan darakht pani ke ki ashk boe hain shab bhar kisi ne dharti mein meri giraft mein aa kar nikal gai titli paron ke rang magar rah gae hain mutthi mein chaloge sath mere aagahi ki sarhad tak ye rahguzar utarti hai gahre pani mein main apni be-khabari se 'shakeb' waqif hun batao pech hain kitne tumhaari pagdi mein