khwab-e-gul-rang ke anjam pe rona aaya aamad-e-subh-e-shab-e-andam pe rona aaya dil ka mafhum ishaaron se ujagar na hua be-kasi-e-gila-e-kham pe rona aaya kabhi ulfat si jhalakti hai kabhi nafrat si ai talluq tere ibham pe rona aaya meri khushiyan kabhi jis nam se wabasta thin jaane kyun aaj usi nam pe rona aaya le ke ubhregi sahar phir wahi pazhmurda kiran kya kahun tirgi-e-sham pe rona aaya be-sabab apni nigahon se gira jata hun is fusun-kari-e-ilzam pe rona aaya itne arzan to nahin the mere ashkon ke guhar aaj kyun talkhi-e-alam pe rona aaya layaq-e-husn-e-nazar the na kabhi un ke khutut aaj mahrumi-e-paigham pe rona aaya ab bhi manzil mere qadmon ki tamannai hai kya kahun hasrat-e-yak-gam pe rona aaya rone wala to karega na kisi ka shikwa lakh kahiye gham-e-ayyam pe rona aaya un ke shubhat mein kuchh aur izafa tha 'shakeb' ashk-e-sada ke is inam pe rona aaya