khizan ke daur mein bhi hum bahaar ban ke chhae hain ghamon ke sae mein bhi rah ke hum to muskurae hain charagh amn ke bujhe bujhe hue the har taraf dare hue dilon ko hum ne hausle dilae hain hamara kya bigadengi ye nafraton ki aandhiyan qadam rah-e-hayat mein kuchh is tarah badhae hain ghamon se khelte hue ye yaad rakhna chahiye jahan mein kho ke kuchh na kuchh bade maqam pae hain hui hai hum mein tum mein jab se duriyan ai jaan-e-man na tum hi muskurae ho na hum hi muskurae hain teri hi bazm mein nahin tere liye teri qasam jahan bhi hum gae salamati ke jam uthae hain bulandiyon ko chhune hi ke waste jahan mein nae-nae taraqqiyon ke raste banae hain