mukhalifin bhi hon to salam karna hai hamein khulus-o-mohabbat se kaam karna hai yahi hai khwahish-o-arman ki sab ke kaam aaun yahi hai kaam zaruri ye kaam karna hai ye zindagi hai khud ehsan is ke badle mein khuda ka shukr hamein subh-o-sham karna hai na phut dal sakega koi hamare bich hum ek hain hamein charcha ye aam karna hai ghamon se lakh hun majbur phir bhi duniya mein sabhi ko pesh masarrat ka jam karna hai dukhi dilon ke madad-gar jis mein hon 'sahir' jahan mein hum ko wo raij nizam karna hai