khizan ke dosh pe rakhta hai wo bahaar ka rang ajab hai us ki nigahon mein intizar ka rang ajab hai rasm-e-wafa aur e'tibar ka rang ki dil mein ban ke dhadakta hai us ke pyar ka rang sukun-e-dil ka thikana kahin na mil paya basa hua hai nigahon mein jo dayar ka rang labon pe jhuta tabassum nami si aankhon mein ayan hai chehre se us ke firaq-e-yar ka rang amir-e-shahr ko hum be-kason se kya matlab use to chahiye bas apne eqtidar ka rang hamari qaum ko padhne do qisse mazi ke khabar to hone do kya tha salib-o-dar ka rang nahin tha shauq mujhe hijraton ka koi 'zafar' dayar-e-ghair mein le aaya rozgar ka rang