lahu ne bhigoe muhajir parinde qataron mein roe muhajir parinde zamin ho gai tang teri khudaya hawaon mein soe muhajir parinde shikari parindon ko kate hai aise ki hon jaise boe muhajir parinde khudaya khabar khair ki aae jaldi abhi tak hain khoe muhajir parinde bahut yaad karte hain ahl-e-chaman ko watan se piroe muhajir parinde jo ghurbat ki goli se mare gae the wo lalach ne dhoe muhajir parinde jo the bin paron ke 'zafar' ud na pae samundar duboe muhajir parinde