khizan ne sataya na kharon ne luta gulon ne diye dukh bahaaron ne luta falahi riyasat ka naqsha dikha kar gharibon ko sarmaya-karon ne luta jo islam ke nam par chal rahe the maza un siyasi idaron ne luta kade waqt par kaam aana tha jin ko watan ko unhin jaan-nisaron ne lauta tujhe qazi-e-shahr kaise bataun mera ghar mere pahra-daron ne luta ba-zahir the rahbar pas-e-parda rahzan qayaadat ko ummid-waron ne luta jo imdad tufan ke maron ko aai use khub taqsim-karon ne luta kabhi sochti hun ki qaumi khazana wazahat-talab goshwaron ne luta haqiqat to ye hai ki mere watan ko watan dost takhrib-karon ne luta talatum mein pahle hi jo lut chuke the ai 'rumi' unhen phir kinaron ne luta