ye tera khayal hai ki tu hai jo kuchh bhi hai meri aarzu hai dil pahlu mein jal raha hai jaise ye kaisi bahaar-e-rang-o-bu hai taqdir mein shab likhi gai thi kahne ko ye zulf-e-mushkbu hai wo dast-e-khizan se bach gaya hai jis phul mein rang hai na bu hai patthar ko tarash kar bhi dekho ye fan bhi khuda ki justuju hai pardes hai shahr shahr mera aghyar ki jis mein aabru hai taqdis ke sar mein khak dekhi tahzib ke hath mein subu hai main jine se tang aa gaya hun ai maut subut de ki tu hai dekho to 'zafar' kahan hai yaro diwane ka zikr ku-ba-ku hai