KHizan se peshtar sara chaman barbaad hota hai

khizan se peshtar sara chaman barbaad hota hai
ghazab hota hai jab khud baghban sayyaad hota hai

tujhe is par guman-e-naghma-e-sayyaad hota hai
qafas mein nala-kash murgh-e-gulistan-zad hota hai

khushi ke baad ek tu hi nahin hai mubtala-e-gham
yunhi akasr jahan mein ai dil-e-nashad, hota hai

rawa rakhta hai wo bedad pahle apni fitrat par
jo insan dusre par mail-e-bedad hota hai

jo karta hai nisar-e-nau-e-insan apni hasti ko
wo insan iftikhar-e-alam-e-ijad hota hai

mere ashaar ki tausif hoti hai mere hote
nahin malum mere baad kya irshad hota hai

na kar 'mahrum' tu fikr-e-sukhan ab fikr-e-uqba kar
nawa-parwaz bazm-e-sher mein aazad hota hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close