meri surat saya-e-diwar-o-dar mein kaun hai ai junun mere siwa ye mere ghar mein kaun hai thik hai ai zabt-e-gham! aansu koi tapka nahin par ye dil se aankh tak paiham safar mein kaun hai wo to kab ka apni manzil par pahunch kar so chuka chand kya jaane ki rah-e-pur-khatar mein kaun hai main to us surat ka diwana hun par ai zindagi! surat-e-yak-umr hail sang o sar mein kaun hai khak chhanwati hai ye raaton ko kis ki justuju chandni ki tarah phaila dasht o dar mein kaun hai ek chehra mustaqil ashkon ke aaine mein hai kuchh bata ai umr-e-gham aakhir nazar mein kaun hai panw mein lipti hui hai sab ke zanjir-e-ana sab musafir hain yahan lekin safar mein kaun hai naghma-e-jaan sunne walo ye takalluf ta-ba-kai dha ke ye diwar bhi dekho ki ghar mein kaun hai