kho gae harf-o-maani mere kya kiya dushman-e-jaani mere main ne dariya se rawani chahi khwab sare hue pani mere sare manzar hain nazar mein ab tak dukh sabhi ke hue yani mere mujh se naraaz na hona sahab tum hi gham-khwar ho sani mere ret ka dher hai buniyaad meri tu ne ye kya kiya bani mere bhid mein jaane kahan chhut gae monis-e-ahd-e-jawani mere aks mubham hue aaine mein sare kirdar the fani mere