har samt khamushi ka ghana ek hisar tha hadd-e-nigah silsila-e-kohsar tha wo aag thi ki jalta raha umr bhar badan muzmar mere lahu mein kahin ek sharar tha chhu kar bulandiyon ko hue bad-guman log phir is ke baad ek musalsal utar tha hum ne duaen mang kar rokin tabahiyan lekin har ek shai mein ajab intishaar tha ek raushni bhi dast-e-masafat mein sath thi koi to mujh se aage sar-e-rahguzar tha