kho gae jaan kahan pyar luTane wale

kho gae jaan kahan pyar lutane wale
yaad aate hain bahut log purane wale

itni mahngai mein bachta hi nahin kuchh sahib
naukri ek hai aur chaar hain khane wale

jin ko paya tha sukun chain ganwa kar hum ne
sare tamghe hain mahaz room sajaane wale

kuchh bhi aasani se hasil nahin hota hai yahan
the qataron mein khade subh se pane wale

ek tasalli ke siwa aur na de pae the kuchh
aaj bhi chubhte hain aansu mujhe shane wale

khokhle rasmon riwajon ne jataya aksar
hathiyon ke hi nahin dant dikhane wale

kaisa insaf kiya karta hai upar wala
bhigte rahte hain khud chhawni chhane wale


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close