khud hi nahin hayat mein aaya hua hai dard kar ke raqam khushi ko kamaya hua hai dard ek dil nahin hamara hai us ke nishane par rag rag nafas nafas mein samaya hua hai dard ab bhigti nahin hai alam se hamari aankh gham ki tamazaton mein sukhaya hua hai dard dikhti hai tis aankhon mein chikhen khamosh hain kuchh is tarah jigar mein dabaya hua hai dard har aankh hai bujhi bujhi chehra udas hai jaise faza pe shahr ki chhaya hua hai dard khushiyon ke sath milta rahe lutf-e-gham hamein khushiyon mein hum ne thoda milaya hua hai dard un ko judai hum se bhala kyon gawara ho naz-o-ada se hum ne uthaya hua hai dard