khoe hue palon ki koi baat bhi to ho wo mil gaya hai us se mulaqat bhi to ho barbaad main hua to ye bola amir-e-shahr coffee nahin hai itna, fana zat bhi to ho duniya ki mujh pe lakh nawazish sahi magar mary taraqqiyon mein tera hat bhi to ho milti hain gor yan to sar-e-rah bhi magar panghat ho gagari ho wo dehat bhi to ho haare to laziman use koi panah de hum se lade jo us ki ye auqat bhi to ho katti hai shab visal ki palken jhapakte hi jis ki subh na ho kabhi wo raat bhi to ho lafzon ke her-pher se banti nahin ghazal sheron mein thodi garmi-e-jazbaat bhi to ho