khana-e-dil ki moattar bhi bahut lagta hai teri yaadon se munawwar bhi bahut lagta hai garche halka sa dhundlaka hai tasawwur bhi tera band aankhon ko ye manzar bhi bahut lagta hai sochte hain ki jiyenge tujhe ji bhar ke magar zindagi tujh se hamein dar bhi bahut lagta hai puchh hum se ki haqiqat mein hai kya tera wajud tere shanon pe ye ek sar bhi bahut lagta hai farq kuchh bhi nahin ehsas-e-tashakhkhus ke siwa darmiyan apne ye antar bhi bahut lagta hai hum qanaat pe guzar karte hain 'aqib' hum ko kachchi diwaron ka ek ghar bhi bahut lagta hai