khoTa sikka ek din chal bhi sakta hai

khota sikka ek din chal bhi sakta hai
rawi ka andaz badal bhi sakta hai

do pal ka hai sath magar tanhai mein
andesha ruswai ka pal bhi sakta hai

machis ki ek tili jaisi aankhon se
hadd-e-nazar ka manzar jal bhi sakta hai

duniya us ki majburi mein shamil hai
zer-e-zamin wo rah kar phal bhi sakta hai

neki ka dariya se gahra rishta hai
shoalon se wo bach ke nikal bhi sakta hai

us ki chahat mein lazim hai shiddat bhi
wo bashari paikar mein dhal bhi sakta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close