khota to kya wo naqd khara hai ki hae hae wo na-sira bhi aaj sira hai ki hae hae kin marhalon mein qafila gum ho ke rah gaya kis samt se sada-e-dara hai ki hae hae kya log hain ye log jahan kya jahan hai ye kya karwan hai kya ye sira hai ki hae hae udta hai us hawa se ba-qadr-e-nafas jo hai taswir mein wo rang bhara hai ki hae hae naghma sune to jaan ke nauha laraz uthe kitna ye dil ghamon se dara hai ki hae hae kya dil ka sath tar-e-rabab-e-nashat den kis dard se ye naghma-sara hai ki hae hae dosh-e-wajud par mere is zindagi ki lash kya nagawar bojh dhara hai ki hae hae 'bismil' ka ranj dil se bhulaya na jaega kis bekasi ki maut mara hai ki hae hae