koi baat aisi aaj ai meri gul-rukhsar ban jae ki bulbul baaton baaton mein dam-e-guftar ban jae ayan ho jazb-e-shauq aisa hasin aaen ziyarat ko meri turbat ka mela misr ka bazar ban jae mere hansne pe wo kahte hain aisa bhi na ho be-khud ki koi aadmi se qahqaha diwar ban jae tajjub kuchh nahin hai gar wafur-e-soz-e-furqat se mera har mu-e-tan minqar-e-mausiqar ban jae tahalte gar chale aaen wo daghon ke tamashe ko abhi sarw-e-charaghan mera jism-e-zar ban jae barahman shaikh ko kar de nigah-e-naz us but ki gulu-e-zohd mein tar-e-nazar zunnar ban jae agar ghar se ba-qasd-e-sair nikle wo kaman-abru to bahr-e-tair-e-dil har mizha sufar ban jae tabassum kar tamasha dekh ke wahshat ka phir zalim mera chaak-e-gareban zakhm-e-daman-dar ban jae yunhi hans hans ke tum aashiq ka rona dekhte jao ki har tar-e-nazar ek motiyon ka haar ban jae badhao manzilat tegh ada ki tund-khui se munasib hai jo ye shamshir jauhar-dar ban jae agar aaina-e-dil saf ho husn-e-tawajjoh se har ek aankhon ka parda parda-e-asrar ban jae yahi hai khun-baha chal kar zara kah do ishaare se 'habib-e-khasta ka marqad pas-e-diwar ban jae