khowen hain nind meri musibat bayaniyan tum bhi to ek raat suno ye kahaniyan kya aag de ke taur ko ki tark sar-kashi us shoale ki wahi hain shararat ki baniyan sohbat rakha kiya wo safina-o-zalal se dil hi mein khun hua kin meri nukta-daniyan hum se to kine hi ki adaen chali gain be-lutfiyan yahi yahi na-meharbaniyan talwar ke tale hi gaya ahd-e-imbisat mar mar ke hum ne kati hain apni jawaniyan gali siwae mujh se sukhan mat kiya karo achchhi lage hain mujh ko teri bad-zabaniyan ghairon hi ke sukhan ki taraf gosh-e-yar the is harf-e-na-shino ne hamari na maniyan ye be-qarariyan na kabhu in nai-dekhiyan jaan-kahiyan hamari bahut sahal jaaniyan mara mujhe bhi san ke ghairon mein un ne 'mir' kya khak mein milain meri jaan-fishaniyan