ne but hai na sajda hai ne baada na masti hai

ne but hai na sajda hai ne baada na masti hai
yan sher-parasti hai ya husn-parasti hai

said se tere shoale yun husn ke uthte hain
hathon mein tere goya mahtabi-e-dasti hai

bimari-e-sil se kam samjho na gham-e-ulfat
ye sil mere sine se ab koi akasti hai

mamura-e-dil apna viran raha barson
wo kaun si basti hai kya jaane jo basti hai

missi ki dhadi us ki nazron se jo hai ghaeb
ya-rab wo siyah badli kidhar ko barasti hai

bulbul ko qafas se kab sayyaad tu chhodega
nazzara-e-gul ko ye har sal tarasti hai

sar de ke bhi hath aawe gar tegh-e-kham-e-abru
ai 'mushafi' hum to bhi samjhen hain ki sasti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close