khoya hai tu kin KHayalon mein raqib

khoya hai tu kin khayalon mein raqib
in siyah baalon ya galon mein raqib

hath mera dekh kar un hathon mein
pad gaya aakhir sawalon mein raqib

kya bataun shahar walon ka tumhein
sab se achchha shahar walon mein raqib

dosti gahri thi pahle donon mein
ho gae do ek salon mein raqib

chhodne wala hi tha us ko magar
aa gaya yaksar khayalon mein raqib

hun misalon mein sar-e-fihrist main
gham to ye hai be misalon mein raqib

wo pari hasil hui to hai sabab
ja rahe tu bhi ujalon mein raqib

tu ne 'bismil' fath pai aakhirash
rah gaya nakaam chaalon mein raqib


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close