dekhte kya did ke qabil koi manzar na tha panw dharti par na the aur aasman sar par na tha khud hamin ko khud-kushi ka shauq tha chaaragaro doston ki aastinon mein koi khanjar na tha har padaw ek shab ke waste manzil bana jis ki khatir dar-ba-dar bhatke hamara ghar na tha qarz mitti ka tha mitti ke hawale kar diya wo jo hum ne dasht ko saunpa hamara sar na tha barf mausam aandhiyan shakh-o-shajar kuchh bhi na the udne walon ko magar andoh-e-baal-o-par na tha gumbad-e-koh-e-nida se bach nikalna tha muhaal raste chaaron taraf the aur koi dar na tha main hi shaista na thahra sangsari ka ki aaj sab uthe hathon mein parcham the koi patthar na tha hum ne nazron se chhua palkon se chuma hai use log kahte the ki khushbu ka koi paikar na tha