khoya kya paya kya hisab na kar to abas waqt ko kharab na kar chhod hargiz na rah-e-haq-goi apni manzil ko yun kharab na kar saf rakh apna daman-e-kirdar tu use ashkon se pur-ab na kar gham na kar dusron pe kya guzre tu kabhi haq se ijtinab na kar gham bhi hain zindagi ka ek hissa dusron ko tu intisab na kar jo faraez hain bhul jaen 'karan' is qadar khud ko mahw-e-khwab na kar