KHu badli aur kaise kaise phul hue

khu badli aur kaise kaise phul hue
tera nam liya angare phul hue

chauk mein ek taswir lagai phulon ki
dekha dekhi chaaron raste phul hue

chhachh bilone wali muddat baad hansi
diwaron par chaspan uple phul hue

resha bunti makdi par khushbu utri
ek aahat par sare jale phul hue

ghar ne dekh liya aate pardesi ko
khil utthe darwaze tale phul hue

jaane kya aalam hota ho phulon ka
jin baaton par mere jaise phul hue

kante us zarkhez nazar ke shaidai
jo bhi us mein aan samae phul hue

sari mohlat khilne aur mahakne ki
gham ne di aur hum bhi us ke phul hue

hum hain jin par jauhar badle jate hain
hum hain jin se kankar tere phul hue

jab tak harf rahenge tum bhi mahkoge
tum mere ashaar mein aae phul hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close