khub farmaya ki apna pyar rahne dijiye aap hi ye ghamza-o-inkar rahne dijiye chandni barsat ki nikhri hai chalti hai 'nasim' aaj to lillah ye inkar rahne dijiye chashm-e-bad-dur aap ki nazren hain khud mauj-e-sharab bas mujhe be-mai piye sarshaar rahne dijiye kijiye apni nigah-e-fitna-afza ka 'ilaj nargis-e-bimar ko bimar rahne dijiye chhodne ka main nahin ab aap ko ai jaan-e-jaan hai agar mujh par khuda ki mar rahne dijiye ham-kinar us bahr-e-khubi se na honge 'akbar' aap aise mansube samundar-par rahne dijiye