khub hai aashiq sun mil rahna sajan lad us ka har ghadi sahna sajan apni khatir sun diya mujh kun bisar kya yahi tha tujh seti kahna sajan rasti se tujh kun karna hai nibah hath jo pakda mera dahna sajan mat pahan zewar apas singar kun mehr-o-mah kun aib hai gahna sajan dil ne hushyari ki kapde phad kar khilat-e-diwangi pahna sajan aashiqan ka kaam hai jyun khar-o-khas shauq ke dariyaon mein bahna sajan 'mubtala' kun kho ki pachtawega tun hai mujhe wajib ita kahna sajan