husn ke danke ki dhum jag mein paDi ja-ba-ja

husn ke danke ki dhum jag mein padi ja-ba-ja
kyun na baje dil mane ishq ki naubat sada

aashiq-e-be-jaan ne aaj dil sati ai ruh-bakhsh
tujh kun kaha dekh kar jaan baya marhaba

bulbul-e-shiraaz ne chhod diya ishq-e-gul
ghuncha-dahan ko suna baat mein jab khush-ada

sarw hua hai khada teri tawazoa katin
jab sin suna bagh mein qad ko tere dil-ruba

tera daras pane ko daud kar aaya chakor
bujh tere chehre ko ghairat-e-badrudduja

shauq ka nazuk darakht khushk hua dard sun
husn ke bustan mein tu chup se hua bewafa

bagh mein lala kahe dekh ke nargis taraf
chashm ka bimar ho kyunki khada be-asa

laf na mar ai raqib majlis-e-ushshaq mein
dil mane begana hai tujh sati wo aashna

phul gaya sungh main tere badan ki so bas
ho ke tere pas jab mujh kane aaya saba

bas-ki tere aane ki bagh mane thi khabar
shauq se be-ikhtiyar gul ne kaha hal-ata

mauj-e-hawadis sati mujh kun nahin gham kabhi
kashti-e-hasti upar bas-ki tu hai nakhuda

tan tere munh se sun wajd kare tansen
pakde apas kan kun jab wo sune kanhra

yaad sun teri jo dil khali-o-ghafil hai nit
us dil-e-be-hosh ka nam hai bait-ul-khala

kucha-e-sarbasta-e-zulf mein hairan howe
ishq-e-siyah-chashm ka jis ka howe rahnuma

aankh teri sahar ko phande mein de hiran kun
zulf teri pech sun dil ko dewe hai phansa

mujmar-e-sina mane kyun na jale jiyun sipand
dil kun lagi chatpati jab se hua tun juda

ishq ke bimar kun kaam tabiban sun nain
wasl ki tabrid bin aur nahin hai dawa

haal mere dard ka puchh kabhi aan kar
lutf ke qanun se mujh kun milegi shifa

teri kamar dekh kar dang hain barik-bin
kyun na howe mu-ba-mu tujh pe fida 'mubtala'


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close