KHub hai KHub uDa ai shab-e-furqat ke maze

khub hai khub uda ai shab-e-furqat ke maze
lutf har-haal mein dete hain mohabbat ke maze

ghair kya jaane bhala aish ke ishrat ke maze
han musibat se hua karte hain rahat ke maze

aish karte hain judai mein bhi hijran-dida
raat-din lutte hain aap ki hasrat ke maze

aap kya puchhte hain haal-e-dil-e-zar mera
talkh karte hain shikayat ko murawwat ke maze

jama rakhta hun hazaron diram-e-dagh-e-jigar
ye badaulat teri ghurbat mein hain daulat ke maze

aish-o-aram-talab log inhen kya jaanen
hum se puchhe koi aafat ke musibat ke maze

munh se inkar hai aankhon se hai iqrar-e-visal
dil se puchhen teri shokhi-o-shararat ke maze

ya shab-e-wasl mein lute hain maze khajlat ke
ya mile 'lutf' ko didar mein ghairat ke maze


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close