kya kahun ishq mein kya kya na hua kya hoga aaj zinda hun to kya kal mujhe marna hoga mujh ko aadat ke liye chahiye duniya mein jahim aatishin-rukh ke muqabil mujhe rahna hoga khwahish-e-mahfil-e-jaanan dil-e-nadan hai abas ki yaqin hai ki wahan majma-e-ada hoga raaz-e-ulfat na chhupaega ye chhupna tera parda-dar khud yahi ek din tera parda hoga bewafa 'lutf' sahi ghair wafadar baja is se inkar kise hai bahut achchha hoga