KHub hi chalti hui wo nargis-e-mastana hai

khub hi chalti hui wo nargis-e-mastana hai
aashna se aashna begane se begana hai

aate jate hain nae har roz murgh-e-nama-bar
banda-parwar aap ka ghar bhi kabutar-khana hai

fatiha padhne ko aaya tha magar wo shama-ru
aaj meri qabr ka jo phul hai parwana hai

pa-e-saqi par giraya jab giraya hai mujhe
chaal se khali kahan ye laghzish-e-mastana hai

mujh ko le ja kar kaha naseh ne un ke ru-ba-ru
aap ke sar ki qasam ye aap ka diwana hai

'dagh' ye hai ku-e-qatil man nadan zid na kar
uth yahan se aa idhar ghar baith kuchh diwana hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close