kisi ki nargis-e-maKHmur kuchh kah de ishaaron mein

kisi ki nargis-e-makhmur kuchh kah de ishaaron mein
maza hai raat din chalti rahe parhezgaron mein

junun mein dekhiye maidan kis ke hath rahta hai
padi hai aablon mein phut aur eka hai kharon mein

wo sharmai hui aankhen wo ghabrai hui baaten
nikal kar ghar se wo ghirna tera ummidwaron mein

palak uthti nahin meri taraf kya thak gain aankhen
abhi to ho rahi thin ghair se baaten ishaaron mein

koi jannat ka khwahan hai koi kausar ka talib hai
uda karti hai be-par ki hamesha baada-khwaron mein

jalana 'dagh' ka achchha nahin ye dam ghanimat hai
ki aisa ba-wafa ik-adh niklega hazaron mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close