khub-ru jo ek ka mahbub nahin aise harjai se milna khub nahin choli nichi mat pahan ai jama-zeb is mein chhab takhti ka kuchh uslub nahin main to talib dil se hunga din ka daulat-e-duniya mujhe matlub nahin sabr kab tak hijr mein tere karun main tera aashiq hun kui ayyub nahin yar ki 'taban' zanakhdan ko na chah dekh kahta hun kuen mein dub nahin