khub-ru sab ki jaan hote hain aarzu-e-jahan hote hain gosha-e-diwar tak tu ja nale us mein gul ko bhi kan hote hain kabhu aate hain aap mein tujh bin ghar mein hum mehman hote hain dasht ke phute maqbaron pe na ja rauze sab gulistan hote hain harf-e-talkh un ke kya kahun main gharaz khub-ru bad-zaban hote hain ghamza-e-chashm khush-qadan-e-zamin fitna-e-asman hote hain kya raha hai mushaere mein ab log kuchh jama aan hote hain 'mir'-o-'mirza-rafi' wa 'khwaja-mir' kitne ek ye jawan hote hain