o miyan banke hai kahan ki chaal tum jo chalte ho nit ye banki chaal naz-e-raftar ye nahin dekha hum ne dekhi hai ek jahan ki chaal lakhon pamal-e-naz hain un ke kaun samjhe hai in butan ki chaal kabk ko dekh kar ye kahne laga ye chale hai hamare han ki chaal rakh ke shatranj-e-ghaebana-e-ishq tum chale ek to imtihan ki chaal tis pe dushman hamare ji ki hui kaji-e-pel-e-asman ki chaal 'mushafi' bhar chala wo rish o barut hue jas pir-e-na-tawan ki chaal