khub the we din ki hum tere giraftaron mein the gham-zadon andoh-ginon zulm ke maron mein the dushmani jaani hai ab to hum se ghairon ke liye ek saman sa ho gaya wo bhi ki hum yaron mein the mat tabakhtur se guzar qumri hamari khak par hum bhi ek sarw-e-rawan ke naz-bardaron mein the mar gae lekin na dekha tu ne udhar aankh utha aah kya kya log zalim tere bimaron mein the shaikh-ji mindil kuchh bigdi si hai kya aap bhi rindon bankon mai-kashon aashufta dastaron mein the garche jurm-e-ishq ghairon par bhi sabit tha wale qatl karna tha hamein hum hi gunahgaron mein the ek raha mizhgan ki saf mein ek ke tukde hue dil jigar jo 'mir' donon apne gham-khwaron mein the