ne shahriyon mein hain na bayabaniyon mein hum aazad hain pa hain tere zindaniyon mein hum jin ka nazir dast-e-qaza se na ban saka insaf ho to hain unhi la-saniyon mein hum dariya ki lahron se ye ayan hai ki jun hubab rakhte hain dil ko jama pareshaniyon mein hum rashkuk mere ashk ke le us ne yun kaha in motiyon ko dalenge chaudaniyon mein hum ab tairan-e-dasht ke hain ham-nashid-e-dard karte the zamzame kabhi bustaniyon mein hum ai tegh-e-naz tu ne ye kaisa sitam kya be-zabh rah gae tere qurbaniyon mein hum jis ja pade hain kushte tere un ke jo nasim bose hi dete phirte hain peshaniyon mein hum sau iden aain aur hua hum ko hukm-e-qatl kya na-qubul hain tere zindaniyon mein hum ai shahsawar-e-husn inan le ki pis gae tere samand-e-naz ki jaulaniyon mein hum mudrik hain juz o kul ke pa rahte hain raat din us kar-gah-e-sana ki hairaniyon mein hum kashti shikast-khurda-e-dariya-e-ishq hain jate hain tirte dubte tufaniyon mein hum muhtaj-e-marg kahe ko phir howen 'mushafi' jite hi ji jo baithe hon ruhaniyon mein hum