khuban-e-fusun-gar se hum uljha nahin karte jadu-garon ki zulf mein latka nahin karte darte hain ki nalon se qayamat na macha dun is khauf se wo wada-e-farda nahin karte barbaad hain lekin nahin yaron se mukaddar go khak hain par dil kabhi maila nahin karte iqrar-e-shifa karte hain par rakhte hain bimar achchha jo wo kahte hain kuchh achchha nahin karte suraj hain kabhi chand kabhi shama kabhi phul kis roz nae rup wo badla nahin karte dil se hun 'munir' apne main ustad ka aashiq tauqir o riayat meri kya kya nahin karte