koi jab chhin leta hai mata-e-sabr mitti se to apne aap ug aati hai us ki qabr mitti se saja rakha tha mabad ke kisi tarik goshe mein bana kar ek dast-e-mehrban ne abr mitti se kahan ji shad rahta hai faqat kar-e-mohabbat mein ki wirse mein mila hai aadmi ko jabr mitti se main is kuze ke pani se koi shamshir dhaalunga aur us ko aaine se aab dunga sabr mitti se wo kis duniya se aae hain wo kis duniya ke basi hain banate hain jo gahre paniyon mein qabr mitti se isi duniya mein baste hain ajab kuchh log aise bhi jo pal mein khinch sakte hain rida-e-jabr mitti se main agle jashn mein chumunga un be-dagh hathon ko ki jin hathon ne dhaala hai charagh-e-abr mitti se